Tuesday, June 23, 2015

Ramdhan - Time to bring change in Soul, Heart, Life and daily routine

Ramadhan, Ruh, dil, zindagi aur kaam me change laane k liye ek badi fursat



Yaqinan agar ham apne wazife par amal kare jo islam ne hame bataya hai, agar ham mahe mubarake Ramadhan me aur saare bade dino aur rato me, jo khuda ki taraf se muayyan/fix kiye gaye hai,( jaise 15 shaban, 3 shaban, roze arafah) aur in jaise ayyame khuda me nemato ka zikr kare aur tawajjoh kare, aur jo duae hame di gai hai unhe ganimat samjhe aur khud ko us waqai qudrat, izzat, azamat yaani zaate muqaddas e khudawande ta’ala se murtabit/connect kare, koi shak nahi ki khud me change dekhenge, ruh me, dil me aur apni identity/pehchan yaani insaan hone me aur apne zindagi k saare hisso me jaise(for eg) apne kaam me, koshisho me hame change dikhai dega aur wo hadaf/target jo islam ne
hame bataya hai use nazdiq hoge. Ye islam aur dusre deen me ek basic difference hai, k islam hamesha insaan ko apne andar change laane k liye hosla/tashwiq deta hai.


Hamara aqeeda hai aur ye islam bhi kahta hai aur dusre deen bhi kehte hai ki insaan, sirf khuda k sath connect hone par hi insaan kamil ho sakta hai aur (bade ahdaf/big targets) ko achieve kar sakta hai.

Fursat e mahe Ramadhan, ek exceptional fursat hai. Ye koi choti baat nahi hai jo Khuda Quran me farma raha hai “Lailatul Qadre khairum min alfe shahr”.  Ek raat jo hazaar mahino se behtar raat hai, fazilat me bhi aur insaan ko taraqqi dene me bhi, ye bhi mahe Ramadhan me hai. Ye koi choti baat nahi hai k Rasool e Khuda s.a.w.s. is mahine ko khuda ki ziyafat ka mahina keh rahe hai.


Lekin kya mumkin hai ki insaan is mahe mubark k sufre par aaye aur mahrum chala jaye? Wo log jo is azeem sufre par hazir hue  lekin magferat talab na kare, apni islah na kare, apne andar change na laaye, beshak is badi nemat se mahrum rah jayenge, aur ye mahrumiyat waqaii hai, haqiqi hai.


“innash shaki man harama ghufranallaha fi hazash sharil azeem.”(Uyun Akhbar ar Reza, vol 1, page 295) Mahrum e waqaii wo hai jo is mahe Mubarak me, Allah ki maghferat ko hasil na kar sake. 

Aadab e Ruzedaari, ahwaal e ruzedaran, written by Ayatullah Syed Ali Khamenei, page no. 40

No comments:

Post a Comment