Roze ka sabse bada fayeda, Taqwa
O believers, fasting is enjoined on you as it was on those before you, so that you might become righteous. (Sura e Baqra - 183)
Yaani ye roze, hame taqwe ki taraf le jaate hai aur hamare wujud, qalb aur jaan me taqwa roze ke wasile se hasil hota hai.
Taqwa kya hai?
Taqwa ye hai ki insaan apne saare aamal aur raftar me dhyan rakhe k wo jo kaam karne ja raha hai kya Khuda is kaam se raazi hai ya nahi. Isihi dhyan rakhne ko, taqwa kahte hai.
Taqwa k opposite, gaflat aur dhyan na dena aur harkat bagair baseerat k anjaam dena.
Khuda, momino se unki zindagi ke kaamo me hoshiyaar na rahne ko pasand nahi karta.
Momin apne zindagi k saare kaamo me dhyan rakhta hai aur deqqat se kaam leta hai.
Iska fayeda ye hai k momin alert rahe, jo bhi kaam kare wo khuda ki marzi aur deen ke bataye hue qanoone ke khilaf na ho.
Jab ye alertness insaan k andar aa jaye aur uska bolna, amal karna, khamosh rahna, qayaam karna aur saqit rahna aur uska har action us qanoon k mutabiq ho jo khuda ne bataya hai, isihi halat ko taqwa kahte hai. Aur yahi fayeda hai jo roze se hasil hota hai.
No comments:
Post a Comment